Girte baloon sy nijat paye hamesha hamesha k liya.
Sar k baal insaan ki shaksiyat ka intehai aham juzz hain jo k apki shaksiyat main nikhar laaty hain or apko khubsurat nazar anay main madad faraham karty hain. Balon ka girna or ganj pan aik aisi beemari hai jis sy insan aksar depression ka shikaar ho jata hai. Balon ka girna duniya bhar main sab sy bara masla hai jis sy har 10 main sy 7 mard hazraat mutasir hoty hain. Aik andazy k mutabiq din main 100 sy zaied baal qudarti tor par jhar jaty hain jo k normal samjha jata hai. Lehaza agar aap ke baal isi miqdar main gir rahy hain to pareshan hony ki bilkul zarurat nhe. Is article main hum apko BALL LAMbe
karnay ka tareka{tips for long hair} or balon ko girney say rokny k liya ilaj btaye ghay
Baal Girnay Ki Wajoohat:
Balon k jharny ki bohat sari wajoohat ho sakti hain. In wajoohat main ghiza ki kami, garam taseer wali adwiyaat ka ziyada istemal, pareshani, fizai aloodgi or jeeniyaat shamil hain. 30 saal ki umar k baad aksar khawateen hormones main adam tawazun ka shikar ho jati hain jo k balon k jharny ka sabab banta hai. Is k ilawa jo mard hazraat topi (cap) ka ziyada istemal karty hain un main bhe balon ka girna aik aam baat hai.
Comments
Post a Comment